Pages From My Diary (Original Shayari and Poems) Shayri shyari शायरी

Chaand ki Tarah Pyaar bhi!!!

Posted on: April 1, 2007

chaand

Humne mehboob ki aankhon par
Haathon ko apne rakh kar dekha…
Nafraat ke aangaaro ko jab unkii
Nazaron mey dehekta dekhaa….
Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar,
Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…

Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui,
Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii…
Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh,
Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon…
Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha…
Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…

Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai,
Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai…
Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne,
Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne…
Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha…
Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…

Ek hi manzar yeh har raat ka hota hai,
Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai…
Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii…
Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai…
Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai,
Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai…
Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha…
Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…

अब िहं्दी (देव्नग्री) में…..

42 Responses to "Chaand ki Tarah Pyaar bhi!!!"

Shikha ji,

Bahut behtereen aagaaz hai kavita ka.
Rula deti hai ye dard ki baatein

Kanhaiya Srivastava

“Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…”

sach mein yeh kavitayen aapki diary ke panno se nikali maloom padti hai … dard ki gahrayi.. shabdon mein jaan si daal rahi hai … bachpan mein padha tha kahin .. viyogi hoga pahla kavi .. aah se nikla hoga gaan … aapki kavitayen bhi kuch aisa hi aabhas karati hain ..

kisi din baith ke sare poems padhoonga…

yun hi likhte rahiye ..

Bahut Bahut Shukriya Kanhaiya ji aur Rakesh…. 🙂

salut ca va had sit hama9ni bazaf tbarkla 3likom walah

@ nora

I am so sorry, I couldn’t understand your language.. Neways, Thanks a lot for your visit to my Blog…

thnx… bahoot acha hai… i liked it–

@ Aslam….

Shukriya aapka… Humare khayaalaaton ko pasand karne ke liye… 🙂

I realy enjoy ur poem its realy gham ki isi tarah likha kare. luv u by zobia

I luv u 2 z.thank so much

ek bewafa ke zakhmo pe marhum lagane hum gaye.
marhume ke qasam mahum na mela marhum ke jaga mar hum gye

Hey! Yo! I’m Tarah too! Nice.

very good shikha ji kya baat hai pad kar kafi accha laga jo dard ke sath mehboob ka pyar isme dikha sach main dil ko choo gaya

i really like this

Shikha ji

This is lovely
Apne is kavita me har ADMI ke dard ko batane ki koshish ki hai.
shayad Mere bhi

maaf karna shikha hum jyada kisi se involve nahi hote,par hum ek baat jaan na chahenge yeh jo kavita aapne likhi hai yeh bas likhi hai ki mehsus ki hai,gustakhi maaf karna thoda personal sawal hai,
yeh aapke liye:-
dard kafi hai seene me hum bataya nahi karte,
dafan hai khwab aako me kitne hum bataya nahi karte,nashili nigaho se hum jaam piya nahi karte,
marte marte hum muskurana bhulaya nahi karte…

Thanks a lot every body for so much appreciation… 🙂 I am very grateful to all of u…

VISHAL… Seems u have many questions from my Poetry… 🙂
Ok… This is for you….

Band hoti hui aankhon ko koi khwaab dikha diya,
Bahut ufan kar uttha toofan, aur ghar bahaa diya…
Hum soch ke baithe thhe ki ab chup hi raheinge,
Dil ki veeraaniyon ney hi ek sawaal uthha diya… 🙂

Dete hai duhaai ab hum, koi khanjar naa chalaye,
Zakhm kuch khule hue hai, koi namak naa lagaaye…
Ab naa kijiye phir us pyaar ki baatein humsey,
Humne ab har zazbe ko hi apne dil se mitaa diya…. 🙂

Hope you will get your answer…. 🙂
By the way… For me, Shayari is some feelings, which came truly and purely from My Heart…

Hello Shikha,

Behad Khubsoorat Likha Hai Aapne.. Wapai Aapki Yeh Rachna Dil
Ko Chhoo gai.. Kamaal ki Shayara Hain aap.. !!! 🙂 🙂

Behad Dard Bhara aur Ehasaason se Saja Kalaam Hai……!!!!!!!
Daad Kubool Karen…..

Aapka Dost
Vicky

nice

gaugious & gracefull

very good shikha ji kya baat hai pad kar kafi accha laga jo dard ke sath mehboob ka pyar isme dikha sach main dil ko choo gaya

hum to aap pe fida hogaye

Thanks a lot for appreciating my work… Vicky, Shashi, Rahul and Sahil…

Koi dikha ke roye koi chipa ke roye,
Hame rulane wale hame rula ke roye,
Marne ka maza to tab hai yaaro,
Jab katil bhi janaaze per aake roye

Mili hai bahut saza unhe dil lagane ki,
nazar lag gayi hamare pyar ko zamane ki
Kabar se nikale hue dono hath kahte hai,
arzoo rah gayi usko gale lagane ki

mitti meri kaber se chura raha hai koi ,
aaj fir mujko chu ker ja raha hai koi ,
ae khuda ek din ki zindgi aur de de mujhe ,
udaas meri kaber se ja raha hai koi……

Garmiye hasrate nakaam se jal jate hein,
hum charagou ki tarha shaam se jal jate hein..

Shama jis aag mai jalti hai numayesh ke liye,
hum usi aag mai gum naam se jal jate hein..

Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath,
jane kyun log mere naam se jal jate hein…

Is anjnabi duniya mein,Akela ek khawaab hu,
Sawaalo se khafa,Chhota as jawaab hu,
Jo na samjh sake,Unke liye “KOUN”,
Jo samajh chuke,Unke liye kitaab hu ,
Duniya ki nazar mein,Jaane kyu chubha as,
Sabse nashili aur badnaam sharaab hu,
Sar uthakar dekho,Wo dekh raha hai tumko,
Jisko na dekha usne,Wo chamakta aaftab hu,
Aankh se dekhoge,To khush paoge,
Dil se poochoge,To dard ka sailaab hu ……..!

vo nadiya nahi thi ansu the mere
jis par TUM kasti chalate rahe
manzil mile tumhe ye dua thi meri
isliye hum ansu bahate rahe………………………….

Agar rakh sakho to 1 nishani hu main,
Aur kho do to sirf 1 kahani hu main,
Rok paye na jisko ye saari duniya,
Vo 1 boondh ankh ka paani hu main………….!!!!

mehfil saji thi jaam ka tha daur, jam me kya tha ye kisne kiya tha gaur,jaam me lahu tha mere armano ka,aur aap keh reh the ek aur ek aur……………

To Kahi bhi rahe tere sar ye elzaam to hai.

Tere haato ki lakiron mein mera naam to hai.

To mujhe apna bana-ya-na-bana teri khushi.

To mere naam se saare jamaane mein badnaam to hai.

Jidhar se bhi gujarta hun. Log tera naam leke pukaar te hai .

Mujhe khushi hai meri mohabbat ka ye anjaam to hai.

manzlain b us ki theen… rasta b us ka tha…. aik main akaila tha…. qafla b us ka tha… sath sath chalny ki…. soch b us ki thi… phir rasta badlny ka… faisla b us ka tha… aj kiun akeela hoon… dil sawal karta hai… log to usi k thay… kia KHUDA b us ka tha?…. i like this ghazal

Amal se bhi maanga wafa se bhi maanga.
Tujhay yaar teri raza se bhi maanga.
Na is se kuch mila to dua se bhi maanga.
Khuda ki qasam tujhay khuda se bhi maanga.

Mut pooch is ehsaas ki shidat se.
Maine to bursaat main jultay ghuro ko dekha hai.

likeskt@hotmail.com

manzlain b us ki theen… rasta b us ka tha…. aik main akaila tha…. qafla b us ka tha… sath sath chalny ki…. soch b us ki thi… phir rasta badlny ka… faisla b us ka tha… aj kiun akeela hoon… dil sawal karta hai… log to usi k thay… kia KHUDA b us ka tha?….

likeskt@hotmail.com

Har dil ke baaton me humne aap ko rakka hai,
gaur se dekho hamara chehra aap k dil main chupa rakka hai
wo rulana manakar hasana ,
hum ko samjana,
baato hi bato main apne sine lagana,
apni shararato ko hamare sine behlana,
kabhi chumte huwe pyar ko jatana,
is pyar main sath nibana us har pal ko yaadon me basana
gaur se dekho hum aap ke dil me yaad rehte hai
wo chahatein har din dil ko bechain karti hai,
jab b hum aap k pass rehna sake

WAH..!!
ACHHA LAGA AAPKO PADHKAR..

BHOOKHE NANGE KI ROTI CHHINAANE LAGE,

AAJ KE INSAAn BHI KYA-KYA KHAANE LAGE?

AAJ HUM APNA WO HI SABAK HAIn BHOOLE,

SEEKHNE ME JISE THE ZAMAANE LAGE..!!

G8t shikha ji…

ur frnd
Reema

@ Reema Ji…

I am happy to see, you liked it…
Thank you a lot for your visit and inspiring comments…

Your Friend… Shikha

NIce poetry !

@ Mazan :

Thank you so much for your visit and comments..

• Wo yaron ki mehfil wo muskrate pal,
Dilse juda hai apna bita hua kal
Kabhi guzarti thi zindgi waqt bitane me,
Ab waqt guzar jata hai chand kagaz k note kamane me.

• Jahan ki gurbat me sukun nahi ayega,
Gam-e-tohin se kubul nahi ayega.
Maklul ki fitrat he ye kafir,
Dimag fat jayega par ye sher samajh nahi ayega.

• Har khomoshi mein ek baat hoti hai,
Har dil mein ek yaad hoti hai,
Aapko pata ho ya na ho par aapki khushi k liye roz fariyad hoti hai.

Awz mai therao tha ankho mai nami thi :
or keh rha tha maine sub kuch bhula DIYA

Bahot achche, lgta hy aapne jo likha hy aapke apne jazbat hy. such hy kya?

kya bat hai zanab.apne to kamal kr diya.ek mere trf se bhi arz hai,dil ki bato ko juban pe late nhi,hm apne dil ki bat kisi ko btate nhi,jkhm chahe kitne bhi gahre kyo na ho,hm dettol ke siva kuch lagate nhi

Ishq kamzor dil se kiya nahin ja sakta,
Zeher dushman se liya nahin ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki,
Us pyar ke bina jiya nahin ja sakta.

Leave a reply to sahil Cancel reply

(c) CopyRight!!

I request everyone, "Please Don't Steal Emotions"!! It would be so nice of you, if you mention my name, whenever and wherever you post my work..
Thanks In Advance!!!
Shikha (MahiYa)

A Line of Comment !!

Hey Dear Friend, :)
I am not any perfect poetess, but tries to write whenever I feel so.. I love reading Original Poems, Original Shayari, Good Poets / Shayars / Shayaras / Sher... or something, which shows how well one could express oneself with rhythm, essence and words.
So, here in this Poetry Blog, I am trying my hands on writing something, which may be assumed as Poetry, Shayari, Kavita or something likewise.. :) They are mostly in Hindi.
I Would be pleased if a line of comment be left whenever you visit "Pages From My Diary". It will help me improve my hobby.. :)

RSS Just4Dosti

  • An error has occurred; the feed is probably down. Try again later.

Blog Stats

  • 96,992 hits
Page copy protected against web site content infringement by Copyscape
blogvani
Hindi Blogs. Com - हिन्दी चिट्ठों की जीवनधारा
April 2007
M T W T F S S
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30  

Veryify-V1

shayari, shyari, shayri, poem, poetry, kavita, friends, dost, dosti, friendship, fun, jokes, games, arcade games, arcade, love shayari, love shyari, love shayri, love poetry, love poem, ishq shayari, ishq shayri, ishq shyari, dard shayari, dard shyari, dard shayri, judai shayari, judai shayri, judai shyari, judaai shayari, judaai shayri, judaai shyari, love, ishq, pyaar, muhabbat, mohabbat, mohabbat bhari shayari, mohabbat ki shayri, motivational shayari, motivational shayri, motivation shyari, tanz shayari, tanz shayri, tanz shyari, urdu shayari, urdu shayri, urdu shyari, pain in love, dard e ishq, muhabbat shyari, gila shikwa, shikayat bhari shayari, shikayati shayri, mehboob, hindi shayari, original shayari, hindi kavita, pain, dard, Urdu, Hindi, forum, poetry forum, shayari forum, poets, funny sms, smsnshayari, majakiya shayri, majakiya shayari, hasya kavita, funny kavita, funny shayari, shayri for fun, hasya kavi, kavi kavita, mehfil, mehfill, shayaro ki mehfil, shayaro, shayarana, andaaz, radio, fm, listen fm, listen radio, radio mirchi, hindi radio, hindi fm, free radio, free fm, songs, hindi songs, lyrics, hindi song lyrics, antaakshari, filmi gaane, geet, gazal, kaifi, gulzaar, nida faazli, nida, kaifi aazmi, kaifi azmi, ustaad, shayari ustaad, urdu poetry, chutkale, hindi jokes, hindi chutkule, photography, cooking, khaana khajana, khana khajana, cookery, images, birthday, chit chat, gossip, masti, filmi baatein, filmi, bollywood, quote, quotes, quote of the day, stories, kahaani, story, life, zindagi, zindagi shayari, zindagi shayri, zindagi shyari, sher, sher o shayari, sher shayari, husn shayari, husn shayri, husn shyari, just4dosti, just dosti, yaari dosti, yaari, friendship poetry, dosti shayari, dosti shayri, dosti shyari, dost ke liye, friendship poem, dedication, poetic, aapka andaaz, aankhein, aankhe, nigaah, occassion shayari, occassion specific poetry, diwaali geet, diwali, horoscope, meditation, health, spirituality, meditation, sharings, health discussion, technology, mobile technology, sms and jokes, sms & jokes, quotations, videos, music, tv serials, movies, songs and lyrics, songs & lyrics, forum games, quizzes, puzzles, bhajan, prayers, parastish shayari, desh bhakti, desh bhakti kavita, shayari for country, famous poets, wafa, bewafa, indian forum, live radio, live fm, live hindi fm, live radio mirchi, inspirational shayari, inspiring shayri, funny quotes, fun filled forum

0 hindi hindi poetry Hindi Shayari Indian poetry Mahiya Original Poetry Original Shayari Poetry Self Written shayar shayari shayri sher shero-shayari shikha shikha12 shyari shyri yoindia